Tuesday 29 June 2010

Tum Mera Naam Kyon Nahin Lete

"Tum Mera Naam Kyon Nahin Lete"

Sharm,Dehshat,Jhijhak,Parishani

Naaz se Kaam kiyun nahin letin
Aap,Woh,Ji,Magar...yeh sab kya hai
Tum Mera Naam Kyon Nahin Lete


By "John Elia"


Click Here And Read More John Elia Poetry

Hai Mohabbat Hayat Ki Lazzat

"Hai Mohabbat Hayat Ki Lazzat"

Hai Mohabbat Hayat ki Lazzat

warna kuch Lazzat-e-Hayat nahin
Kya Ijazat hai Aik Baat kahun
Woh....magar Khair koi Baat nahin

By "John Elia"


Click Here And Read More John Elia Poetry

Sunday 20 June 2010

Humesha Muskura Kay Aansooun Ko Chupaya

"Humesha Muskura Kay Aansooun Ko Chupaya"



Humesha Muskura Kay Aansooun Ko Chupaya

Ghum Ko Chupanay Ka Yehi Rasta Nazar Aaya

Kis Kis Ko Batatey Behtey Ashkon Ka Sabab

Kay Derd-E-Dil Dil Main Kis Nay Jagaya



Mehfilon Main Kahin Bhi Maza Na Raha

Rakha Dil Pay Pather To Khud Ko Sajaya



Baat Bay Baat Apni Aahain Daba Ker

Yaron Kay Dermiyan Kis Qadar Muskuraya



Na Thi Chah Kabhi Mujahy Mankashi Ki

Jaam-E-Wafa Kisi Bay Wafa Nay Pilaya



Kya Muqadar Say Shikwa Kertey Rahain

Jo Qismat Main Tha Wohi Kuch To Paaya



Yeh Kis Mor Pay Aagaee Hain Umeedain

Kay Saaya-E-Manzil Nazar Main Na Aaya



Apnoon Nay Palat Kay Daykha Tak Nahin

Ghairon Nay Aaker Galay Say Lagaaya



Acha Hua Kay Raaz Khul Hi Gaya

Dil-E-Nadaan Pay Khanjar Kis Nay Chalaya



Shab-O-Roz Chahat Sila Yeh Hay Shaiki

Dil Kay Tukrey Huay Wo Chunney Na Aaya







Click Here For More These Types of Classical Urdu Poetry

Friday 18 June 2010

Yaad Aaon Tu Bas Itni Si Inayat Karna





Yaad Aaon Tu Bas Itni Si Inaayat Karna

Apnay Badlay Hoye Lehjay Ki Wazahat Karna



Tum Tu Chahat Ka Shah'kaar Hua Kartay The

Kis Se Seekha Hai Yeh Ulfat May Milawat Karna



hum sazaao'n k haq'daar banay hain kab se?

Tum hi keh do k jurm hai kya muhabbat karna?



Tairi Furqat May Yeh Aankhain Abhi Tak Nam Hain

Kabhi Aana Mairay Aaskho'n Ki Ziyarat Karna



Dil May Ab Bhi Muhabat K Diye Hain Raushan

Dekh Bhoolay Nahi Tairi Hasti Ki Ebadat Karna

Ghalib Poetry


Kitne Ghalib the jo paida huey aur mit bhi gaye,

Qadrdaanon ko takhallus ki khabar hone tak!

By Ghalib



Click Here And Read More Poetry of Mirza Ghalib

Samaan-E-Tijarat Mera Iman Nahi Hai

"Samaan-E-Tijarat Mera Iman Nahi Hai"


Samaan-E-Tijarat Mera Iman Nahi Hai

Har Dar Pe Jhuke Sar Yeh Meri Shaan Nahi Hai


Har Lafz Ko Seene Mein Basa Lo To Bane Baat
Taaqon Mein Sajane Ko Yeh Quraan Nahi Hai


Allah! Mere rizq ki barkat na chali jaaye
Do Roz Se Ghar Mein Koi Mehman Nahi Hai


Ham Ne Banaye To Hai Samandar Mein Bhi Raaste
Yun Haam Ko Mitaana Koi Asaan Nahi Hai

Voh Jis Ko Buzurgon Ki Rivayat Na Rahe Yaad
Us Shakhs Ki Logo Koi Pehchaan Nahi Hai


Do Char Umeedon Ke Diye Ab Bhi Hai Roshan
Maazi Ki Haveli Abhi Veeran Nahi Hai


Main Teri Mohabbat Mein Giraftar Hoon Lekin
Tujh Ko Main Khuda Samjhun Yeh Imkaan Nahi Hai


Phoolon Ki Jagah Jalte Huye Lafz Sache Hain
Ab Mez Pe Akhbaar Hai Guldaan Nahi Hai


‘Majid’ Yeh Mera Sher Mere Ahd Ki Tasveer
‘Ghalib’ Ki Ghazal ‘Mir’ Ka Divan Nahi Hai



Click Here And Read More Classical Poetry of Classical Poets

Thursday 17 June 2010

Khamoshi Keh Rahi Hai Kan Mein Kya

"Khamoshi Keh Rahi Hai Kaan Mein Kya"



By John Elia



Khamoshi Keh Rahi Hai Kaan Mein Kya


Aa Raha Hai Mere, Gumaan Mein Kya



Ab Mujhe Koi Tokta Bhi Nahin

Yahi Hota Hai, Khaandaan Mein Kya



Bolte Kyon Nahin Mere Haq Mein

Aabale Par Gaye, Zabaan Mein Kya



Meri Har Baat Be-Asar Hi Rahi

Nukhs Hai Kuch, Mere Bayaan Mein Kya



Wo Mile To Ye Poochna Hai Mujhe

Abhi Hoon Main Teri, Amaan Mein Kya



Shaam Hi Se Dukaan-E-Deed Hai Band

Nahin Nuksaan Tak, Dukaan Mein Kya



Yoon Jo Takta Hai Aasmaan Ko Tu

Koi Rehta Hai, Aasmaan Mein Kya



Ye Mujhe Chain Kyun Nahi’n Padta

Ek Hi Shakhs Tha, Jahaan Mein Kya







Want To Read More Classical Poetry of John Elia Click Here